Shuruwat Lyrics by IKKA is latest Punjabi number sung and written by him. DJ HARPZ has composed its music while Sandy Goswami has directed its video.
Song: Shuruwat
Singers: IKKA
Musicians: DJ HARPZ
Lyricists: IKKA
Shuruwat Lyrics
Paisa, shohrat
Yeh donob musibat
Yeh na sab ki kismat
Yeh bus uski kismat
Jisne ki hai zehmat
Uspe rab ki rehmat
Jisne ki hai mehnat x (2)
Kahan se karun shuruwat
Un bheed se bharri tang galiyon se
Jahan pe pala badha ghooma un galiyon se
Ya rishtedaron ki gaaliyon se
Ya kaam se mili mujhe taaliyon se
Ya kabhi toot ke rone wali ankhon se
Ya duniya jeet lene wali baaton se
Ya un raaton se jin raat soya nahi
Aur likh dala itihas in hathon se
Main shuru se shuruwat karta hoon
Ek aam ghar ka main ladka hoon
Kar din dungne, raat chaugune
Pariwar ko khush main rakhta hoon
Apne dum pe bana, apne dum pe kara
Jo bhi kara maine liya kisi ka sahara nahi
Milta hai mauka ek baar
Mera mauka khone ka irada nahi
Main is-se kam, main us-se zayada nahi
Main hu poora khel, main khel ka pyada nahi
Hona greeb paida kismat
Marun bhi greeb to
Mili zindagi ka fayada nahi
Jo bhi karoon main
Karoon main seena thok ke
Kisi se main daroon
Aisa kiya koyi kaam nahi
Jo bhi mili safalta
Us safalta ke pichhe
Mere pitaji ka naam nahi
Log milte hain papa se
Kehte hai ladke ne
Kaam se patya ji naam kiya
Sach bolun to is se badhkar
Ikka ke liye koyi inaam nahi
Paisa, shohrat
Yeh donob musibat
Yeh na sab ki kismat
Yeh bus uski kismat
Jisne ki hai zehmat
Uspe rab ki rehmat
Jisne ki hai mehnat
Jisne ki hai mehnat x (2)
Mushkil se mushkil ko hal kiya
Kiya aaj maine na kal kiya
Ki hai maine jee tod mehnat
Na araam ek pal kiya
Hui mujhse bhi kaafi dekho ghaltiyan
Ghaltiyon se apni seekh li
Jo banaya maine khud hai banaya
Na faila ke hath maine bheekh li
Meri garibi thi mera motivation
Kharab thi situation
Maine haalat ko maat di
Apni banayi kuchh reputation
Maine khud pe yakin kiya
Kiya yakin apni udaan pe
Himmat se kaam liya chhodi na ummeed
Nahi to baitha hota baap ki dukan pe
Paisa, shohrat
Yeh donob musibat
Yeh na sab ki kismat
Yeh bus uski kismat
Jisne ki hai zehmat
Uspe rab ki rehmat
Jisne ki hai mehnat
Jisne ki hai mehnat x (2)