Shikayat Lyrics – Usama Ali

Shikayat Lyrics by Usama Ali is new released Hindi song in their voices, Raffey Anwarr has made its tune. Latest Shikayat song lyrics are written by Usama Ali, Ahad Khan. Its music video is released by AUR.

Shikayat Lyrics - Usama Ali

Shikayat Detail:

Song: Shikayat
Singers: Usama Ali, Ahad Khan
Musicians: Raffey Anwarr
Lyricists: Usama Ali, Ahad Khan

Shikayat Lyrics




Khawateeno hazraat
Kuchh gaane aise hote hain jo
Kalakaar kisi ko kho ke likhte hain
Aur jo gaa nahi sakte
Woh sun ke ro lete hain

To aap sabki khidmat mein pesh hai
Kisi ki ghuzarish, kisi ke intezar
Kisi ki shikayat
Zara tawajjo farmayein

Zakhm dil pe hain dawa karo
Aao milke rasm-e-mohabbat adaa karo
Kuchh na kar sako mere liye

To bas khwaabon mein hi mujhse mil liya karo

Aa mil lo kahin mujhse
Ke ummeedein kuchh baaki hain meri
Tumse na jaane hasrat hi rahi ho tum meri
Ke shayad yeh din aakhiri ho
Hum khwaahish mein mar jayein

Aa milo kahin mujhse
Ke ummeedein kuchh baaki hain meri
Tumse

Le chalo wahan mujhe
Main dekhta hoon aasmaan mein bhi ab tujhe
Dekha ek roz taara toot ke gaya

Maangi bhi duayein par haan tu nahi mila

Woh aaya hi nahi jo ik dafa gaya
Woh door itna ho gaya main dekh na saka
Hai dhoondhta wajah ab dil yeh bewajah
Hai toota is tarah se dil ke phir nahi laga

To aa milo kahin oh mere humnashin
Main ab bhi hoon akela yeh tu samjha kyon nahi
Wajood-e-dillagi ki aarzoo nahi
Mohabbat to wohi hai jo ke milti hi nahi

Mohabbaton mein jhoom loon
Main kya karun bata
Main mukhtala hoon gham mein
Ya main gham ki hoon dawa

Main baddua hoon ya duaa hoon
Ya main hoon saza
Ab tu bata ke main hoon
Ya phir tu hai lapata
Tu bata

Lapata ho gaye hamare liye tum
Itna chaha ke tum bewafa ho gaye
Jaana bhoolna tha tumhein khuda ki kasam
Hath jab bhi uthe tum duaa ho gaye

Hothon pe duaa hai waqt tham nahi raha
Tu na mil saka tu bas nazam mein hi raha
Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya
Tera gham ajeeb hai woh wahin ka wahin raha

Bhoolna main chah raha tha tujhko is tarah
Na teri jagah koyi ho na ho tu wahan
Ab teri talaash mein pata chala mujhe
Tumse hi shuru hai raat tumse hi subah

Tu mil gayi to jaan legi zindagi mujhe
Jo tu nahi to chahiye kuchh nahi mujhe
Khwaab tu hai saans tu hi raat tu subah
Kaat doonga zindagi main dekh ke tujhe

Dekh le mujhe yeh kat rahi hai zindagi
Ab dekh ke tujhe toot hi gaya hoon
Tu samet le mujhe samet le mujhe
Kahin bikhar na jaau main

Haan haan haan hmm..

To aao na mere aansu ko pochho
Aur phir se rulao mujhe
Mera sab kuchh hai tere liye

To aao na dil ki baatein karo
Aur phir se satao mujhe
Mera sab kuchh hai tere liye

Mil jaaun main tumein agar raasteon mein kahin
Tum rasman hi poochh lena mujhse haal mera
Main muskura kar gham chhupa kar hi jawab doonga
Main yehi karta aaya hoon yeh hai kamaal mera


Hope you have liked the lyrics of Shikayat song, if so please share it with your family and friends on social meadia.