MANTOIYAT LYRICS – Raftaar | Nawazuddin Siddiqui | Manto

Mantoiyat Lyrics by Raftaar and Nawazuddin Siddiqui of Manto is an amazing song sung by Raftaar. Its music is composed by Raftaar and lyrics are written by Raftaar and Saadat Hasan Manto.

Mantoiyat Lyrics - Raftaar

Mantoiyat Song Detail:

Song: Mantoiyat
Singers: Raftaar
Musicians: Raftaar
Lyricists: Raftaar, Saadat Hasan Manto
Additional Vocals: Nawazuddin Siddiqui
Producer: Vaibhav Modi
Director: Nandita Das
Writer: Nandita Das

Mantoiyat Lyrics




Raftaar!

Sawal yeh hai ke jo cheej jaisi hai
Usse waise hi pesh kyon na kiya jaaye
Main to apni kahaniyon ko ek aaina samajhta hoon
Jismein samaaj apne aap ko dekh sake, dekh sake

Aaina na dekhna chaahe samaj mera
Poochhe mera kal na dekhte yeh aaj mera
Khodte kharodte yeh meri ghaltiyan
Main bhi chal diya
Meri soch pe hai raaj mera
Kaan band, aankhein band
Inke munh pe taale

Inpe zor na ke satya pe prakash daalein
Bolein sach jo uske chehre pe tezab daalein
Ghoomein phir khule mein
Aur jale to woh naqaab daalein

O o off hai, dimaag sabka off hai
Zamana kya kahega iska hi toh sabko khauf hai
Dabke jeete hain, dabane ke yeh aadi hain
S** nishedh hai to itni kyon aabadi hai

Log yeh hain aatma se khokhle
Khud karein to theek, baaki galat dogle
Gaali dein to Hindi mein
Toh bolein aisa kyon kiya

F**k kyon hai cool jaane galat kyon hai ch**iya

Kya iss tara ke alfaaz humein sadkon pe sunayi nahi padte
Manto ek insaan hai
Man.. Manto ek insaan hai
Manto ek insaan hai
Manto ek insaan hai
Mujh par ilzaam hai
Mujh par, mujh par
Mujh par ilzaam hai
Mujh par ilzaam hai
Manto ek insaan hai

Jaat mein yeh baant’te hain
Baant ke yeh kaat’te hain
Katne wale khaat pe hain
Inki mauj raat mein hai
Laal batti wali gaadi
Glass inke hath mein hai
Rajneeti mein hai chor
Police inke sath mein

Meri baat tumko sach nahi lagti
Sachi baat tumko yaara pach nahi sakti
Mujhse na-samajh hain dugne meri age ke
Ek paer kabra mein yeh bhookhe hain dahej ke
Betiyon ko maarte, betiyan na paalte
Betiyon pe doosron ki nazrein gandi daalte
Ladkiyan patake unko bandi bolte hain aur
Aur jo raazi na ho unko saale ran*i bolte hain

Baabaron se, maa pe thos hath jo uthayega
Be-zuban bolne se pehle seekh jayega
Mard tab banega jab tu aurtein dabayega
Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jayega

Main society ki choli kya utarunga jo pehle se hi nangi hai
Usse kapde pehnana mera kaam nahi hai
Main kaali takhti par safed chalk istemaal karta hoon
Taaki kaali takhti aur numaya ho jaaye
Manto ek insaan

Main ghanton padha hai tumko Manto
Tumhare jaisa banu kare mera man toh
Inn bandon ko sach nahi dikhta
70 saal azaadi ke sach aaj bhi nahi bikta

Agar aap meri kahani ko bardaasht nahi kar sakte
Toh iska matlab yeh hai ki yeh zamana hi na-kabil-e bardaasht hai


Hope you have liked the lyrics of Mantoiyat song, if so please share it with your family and friends on social meadia.