KYA KAREIN LYRICS – ANANYA BIRLA

Kya Karein Lyrics by Ananya Birla, Ankur Tewari is new released Hindi song in his voice. Kya Karein song lyrics are written by Ankur Tewari. Its music video is released by Ananya.

KYA KAREIN LYRICS - ANANYA BIRLA

Kya Karein Song Detail:

Song – Kya Karein
Singers – Ananya Birla, Ankur Tewari
Musicians – Ankur Tewari
Lyricists – Ankur Tewari

Kya Karein Lyrics




Chaha bohat ke chahein tumhein
Raz apne dil ke batayein tumhein
Duniya se hum chura ke tumhein
Khwabon mein apne basayein tumhein

Par yeh dil ka mamla hai kya karein
Yeh dil na manta hai kya karein
Yaadon mein uljha hua hai
Mohabbat se khafa dil kya karein

Sambhale huye hai dard kayi
Reh na gaya ho bakaya koyi
Khauf kaho ya tajurba sahi
Dil pehle jaise ab dhadakta nahi

Par yeh dil ka mamla hai kya karein
Yeh dil na manta hai kya karein
Yaadon mein uljha hua hai
Mohabbat se khafa dil kya karein

Ek baar ko yeh maan lo
Pehle jo bhi hua, hoga nahi
Aur is dafa jo kuchh bhi ho
Hum pyaar mein badlenge nahi
Bilkul nahi

Par yeh dil ka mamla hai kya karein
Yeh dil na manta hai kya karein
Yaadon mein uljha hua hai

Mohabbat se khafa dil kya karein


Hope you have liked the lyrics of Kya Karein song, if so please share it with your family and friends on social meadia.