Aaja Mahi Lyrics – Ahad Khan

Aaja Mahi Lyrics by Ahad Khan, Usama Ali is new released Hindi song in their voices, Raffey Anwar has made its tune. Latest Aaja Mahi song lyrics are written by Ahad Khan, Usama Ali. Its music video is released by AUR.

Aaja Mahi Lyrics - Ahad Khan

Aaja Mahi Detail:

Song: Aaja Mahi
Singers: Ahad Khan, Usama Ali
Musicians: Raffey Anwar
Lyricists: Ahad Khan, Usama Ali

Aaja Mahi Lyrics




Kho jaaunga main tum me
Tum bhi kho jao na
Bas jaunga main tum me
Mere ho jao na

Dekho na aake jana
Kat’ti na raaten jana
Mana ke mushqil hai par
Bhoolo na vaade jana

Dil ko samjha ke jana
Sab kuch na milta mana
Na jaane hum kyun bichhde
Hum me to pyar bhi tha na

Marta hoon main marta hoon main aaja
Yaad tujhe karta hoon main aaja
Toote huve dil ka main tere
Chhota sa tukda hoon main aaja

Dil ki baatein hi nahi suni
Ab vaadon pe yakeen nahi
Humein tu nahi mila kabhi
Humein sirf tasalli di gayi

Hum se khushiyan chheen li gayin
Humein bas udasi di gayi
Tera intezar hai sada
Par tere aane ki ummeed hi nahi bachi

Aao na dekho tum dobara
Teri yaadein hi bani hai jeene ka sahaara
Tanha baitha aahe bharta hoon main
Tu nahi hai paas to ab khud se ladta hoon main

Darta hoon main darta hoon main na jaa
Pyar tujhe karta hoon main karta hoon main na jaa
Khud ko bhi kho doonga main agar
Tujhko jo kho doonga main na jaa

Ek hi baar to gaye the tum
Ek hi baar mar gaye the hum
Ek hi baar mein sab chhin gaya
Khushiyan door gale lage gamm

Ek hi baar aa jao na ab
Ek hi baar dekho na ab tum meri taraf
Ek hi baar mein le jao sab
Toota dil uski yaadein or uski tadap

Gamm tumne dekha kahaan hai
Khushiyon sa tera jahaan hai
Humne dekha yeh jahaan hai
Par dekha na tum sa jaana

Dekho na aake jana
Kat-ti na raatein jana
Maana ke mushkil hai par
Bhoolo na vaade jana

Dil ko samjha ke jana
Sab kuch na milta jana
Na jaane hum kyun bichhde
Hum me to pyar b tha na

Aaja poori kare woh dastaan doori bhare
Woh rasta jo jata tujhko manane
Kaise tum ja rahe hum ro rahe ya gaa rahe
Yeh baatein tere siva koyi kya jane


Hope you have liked the lyrics of Aaja Mahi song, if so please share it with your family and friends on social meadia.