Aaj ke naam aur aaj ke gam ke naam
Aaj ka gam ke hai zindagi ke bhare
Gulsitan se khafa zard patton ka ban
Zard patton ka ban jo mera des hai
Dard ki anjuman jo mera des hai
Un dukhi maa ke naam
Un dukhi maa ke naam
Raat mein jinke bachche
Bilakhate hain aur
Neend ki maar khaye hue
Baazuo se sambhalte nahin
Dukh batate nahin
Minnat aur zariyon se behalte nahin
Un hasina ke naam
Un hasina ke naam
Jinki aankhon ke gul
Chilman aur dareechon ke belon pe
Bekar khil-khil ke murjha gae hain
Un byaahata ke naam
Un byaahata ke naam
Jinke badan be-mohabbat riyakar se
Jo ke saj-saj ke ukata gaye hain
Bewaon ke naam
Katadiyon aur galiyon, mohallo ke naam
Jinki na-paak khaashak se
Chaand raton ko aake
Karta hai aksar vazu
Jinke saayon mein karti hai aahob ka
Aanchalo ki hinna
Chudiyon ki khanak, kakulon ki mehak
Arzoo mand seeno ki apne
Paseene mein jalne ki boo
Padhne walon ke naam
Aaj ke naam aur aaj ke gam ke naam
Un dhukhi maaon ke, un hasino ke
Un byahtao ke naam
Aaj Ke Naam Song Detail
Song: Aaj Ke Naam
Movie / Album: Haider
Star Cast: Shahid Kapoor, Shraddha Kapoor, Tabu, Kay Kay Menon
Singers: Rekha Bhardwaj
Musicians: Vishal Bhardwaj
Lyricists: Gulzar
Duration: 4:14 Min