Anjaam Lyrics – Gajendra Verma

Aankhon mein ashq hi sahi
Dil mein mohabbat hi sahi
Jaisi apni, uski haalat hi sahi
Par yeh tai hai ki woh qayaamat mujhpe dhaayegi
Haan woh jaayegi woh jaayegi, haan woh jaayegi
Haan woh jaayegi woh

Baaton baaton mein yeh baat ki kya hona hai
Phir woh samjhana jo manzoor-e-khuda hona hai
Oh badi be-rukhi se kehna ki judaa hona hai
Aur to ho chuke bas ek sitam baaki hai
Woh judaa hi hai bas jaane ki rasam baaki hai
Rasam baaki hai, rasam baaki hai
Rasam baaki hai, woh

Usne is pyaar ka anjaam soch rakha hai
Usne is pyaar ka anjam soch rakha hai

Chaand bhi aa gaya chat pe, sitaare bhi
Mehndi bhi rach gai, gulaab bhi, hajaare bhi
Kaun dekhe kisi seene mein angaare bhi
Dil-e-barbad mein shola aur chingaari hai
Mujhe pata hai kis jashn ki taiyaari hai

Usne is pyaar ka anjaam soch rakha hai
Usne is pyaar ka anjam soch rakha hai x (2)

Anjaam Song Detail

Song: Anjaam
Singers & Composer: Gajendra Verma
Lyricists: Aseem Ahmed Abbaasee
Producer: Virtual Planet Production
Video Director: Vikram Singh
Star Cast: Gajendra Verma, Mukti Mohan, Vikas Pareek, Rahul Parnami
Genre: Sad Songs
Banner: Virtual Planet Production
Duration: 5:16 Min


Hope you have liked the lyrics of Anjaam song, if so please share it with your family and friends on social meadia.